Showing posts with label Hindi. Show all posts
Showing posts with label Hindi. Show all posts

28 September 2022

Diwane

Unke naram zubaan se 
Aise lafz nikle,
Ki phoot pade hai 
Khayalon ke gubbare.

Hoton se aise teer
Cahalaye hai jaise
Khamosh zakmo pe
Thande angare.

Shaitan bhi tik na
Paye, Lazawab,
Hai unke tej
Nigaahe.

Hum toh phir bhi
Insaan hai..
Ek jhalak kaafi thi..
Fana hai..

Hum pagal diwane.

28 January 2022

Social media

Zhakm ke bazaar mein
Naaptol ke dard 
Becha ja raha hai.

Gaye the hum bhi,
Kamaye huye,
Kuch ghaav leke.

Kacche aam ki
Keemat shayad koi
Nai karta waha.

Shayad, achaar
Dalna padega. 

26 January 2022

Anjaan

Woh kaun hai jo
Jo sapnon mein aake
Hakeekat mein
Gayab ho jate hai.

Aine mein dikh kar,
Parichayi chod jate hai. 

Woh kaun hai jo
Dimag pe sawar
Dil pe nishan
Chod jate hai.

Khule bazaar mein
Khwaab dikha ke,
Baad mein marichika 
Ho jate hai. 

Kash woh tum hote.
Ya khud hum.
Lekin ye koi
Aur hai. 

Anjaan toh hai
Jaroor..

Lekin pata nahi
Kyu.
Jaan pehechan 
Se bhi lagte hai. 

18 January 2022

Khayal

Woh aaye,
Hame le jaye.
Phir se ek aur 
Khwaab dikha ke,
Chand pe hame
Kaid kar de.

Sitaro ke hawa
Ka shab 
Unke hathon se 
Pilaye aur unke 
Pyar ka izahar kare.

Aur hum yun hi
Pigal kar,
Aasman se 
Barish sa barsaye.

Haye,
Ye mehenge 
Mehenge khwahishe..
Unki yadon mein
Doob jaane ki aadatein.
Kya kare..

Kya kare..
Iss taraf hai tanhai
Ki khayi. Uss taraf,
Nachti hui, meri
Bigade kalam ki
Rang bhi rangi shahi. 

Hamare toote
Kashti ki hakeekat
Ka pata hai hume..
Phir bhi..

Phir bhi..
Dil behalane ke liye.
Khayal accha hai
Ghalib.

15 March 2021

Ummeedein

Dil ki baat,
Dil mein nai rehti.
Mann ke pinjare 
Mein bandh rehti nahi.

Teri nazar ki
Bansuri chalti rahi,
Purane ghavon pe
Waar badta gaya.

Thi talash 
Ummeedon ki.
..
Bhook mithi nahi,
Pyaas bhuji nahi..

Jis Roshni ke 
Talash mein,
Hum tere gali mein
Phirse chale aaye the.

Waha shaam ho 
Chuki thi.

28 August 2018

Bound Freedom

Ae azaadi bhi,
Kati patang jaise hai...

Manjhe se chutkara
pane ki khusi toh hai jaroor..

Lekin hawa ke isharo pe
nachne ka khayal,
hamesha chubta rahta hai..

Translation-
 

“This freedom is like a cut loose kite.

Sure there's happinesses of getting rid of the thread.

But the thought of dancing to the commands of the wind keeps on pricking me”.

05 August 2018

Khoye hue hai..

Soye hue hai.
Khwabo ke bistar pe,
Khoye hue hai.

Daudate, kuchalate,
Naachte aur jhoomte,
Khayalo ke patang ko
Door udte dekte....

Khoye hue hai.
Khwabo ke bistar pe,
Soye hue hai.

Translation-

I'm alseep.
On a dreamy bed,
I lay dead and  lost.

Running, jumping,
Dancing and swinging,
Watching the kite of
My thoughts fly in the distance.

I lay dead and lost,
On the dreamy bed of mine,
I'm fast asleep.